Adam Ka But bana ke us mayn sama gaya hoon
Waisay bhi mayn khuda tha aisay bhi mayn Khuda hoon
Khud mayn nay hi bataya wo raz-e-Kunt-o-Kanzan
Ab admi ki surat jalwa numa hua hoon
Kaa'ba kleesa mandar mujhay dhoondhnay ko jaen
Ghafil samajh rahay hayn koi cheez gumshuda hoon
Pehlay to la makaan tha, ab hun makaan wala
Adam mera makaan hay ab is mayn reh raha hoon
Takhleeq meri adam, pehchan meri adam
Mayn kis tarah kahoon ga adam say mayn juda hoon
Yeh mayn nay hi kaha tha adam ko sajda kar lo
Adam ke but ke andar mayn khud basa hua hoon
Adam ko khud hi mayn nay Iqbal hay yeh bakhsha
Ghabrao na fana say mayn khud teri baqaa hoon.