Kashti bhanwar mayn meri bari door hay kinara
Meeran madad ko aao, maym Ghulam hoon tumhara
Hoon gada tumharay dar ka, dunya yeh janti hay
Mayn tumhara hoon tumhara, nazr-e- karam Khuda ra
Sadqa - e - dastgeeri sun lo yeh iltjaen
Meri laaj ko sambhalo, dedo mujhay sahara
Shah-e-Jilani too nay girton ko hay sambhala
Ho kar tumhara mangta phirta hoon mara mara
To ata ka aasman hay mayn gada-e- benawa hoon
Tera karam na ho to apna nahi guzara
Hasni Hussaini Meeran tum ho Ali ke payaray
Teri deed Shah Jeelan Hasnain ka nazara
Khushiaan zamanay bhar ki, jholi mayn aaj bhar do
Thokar par hay tumhari Iqbal ka sitara

No comments:
Post a Comment